guru-shani ki yuti sinh lagna ke liye kanya rashi hasta nakshtra (2nd pada) mein kaisa rahega?
Kyunki wo dono trikon aur kendra ki yuti bana rahe hai (5 and 7). Parantu wo 6 and 8 ke adhipati ho ke bhi dushtana oorja ko sath la rahe hain wo bhi marak sthan mei (2nd).
Unki mooltrikon rashiyan, dhanu aur kumbh dushtana bhav mein nahi hain. Kripya is yuti ke baare mei bataiye. Dhanyavaad.
Guru aur Shani ka seh dharma Kendra trikon aur trik bhavon donon ka hai.par idhar brihaspati ashtam bhav mein padane wali apni Rashi ko Drishti de rahe hain aur Shani saptam mein padhne wali apni Mool trikon Rashi se ashtam baithe Hain aur 6th bhav ki Rashi se trikon mein hai. donon ek sath ashtam bhav ko dekh rahe hain; brihaspati 6th bhav ko dekh rahe hain aur 6th ke Swami ke sath baithe Hain...isliye yeh donon jyada 6-8 ke Swami honge par Aisa nahin hai ki vah Kendra trikon hone ka Dharm nahin dikhayenge.